Thursday, November 17, 2011

chale gaye aap yun...

Door the hum,
Paas kuch aap bhi na the!
Faasle the,
Par baatein thi kayi-

Ankahi kehte gaye hum,
Aur sunte gaye aap!

Najaane kyun,
Laga yun, akele hue kya hum?

Nazar utha k dekha,
Veeran tha jharokha humara-
chale gaye aap yun,
Aahat bhi na hui.

Do pairon ki chhaap thi us raste par,
Jahan se guzarte dil bhar aata hai,
Aankh se beh jaata hai!

Sochte hain,
Ki keh diya hota-
usi waqt,
jab

Ankahi kehte gaye hum,
aur sunte gaye aap!

Ki ankahi kab ansuni ho gayi-
maaloom na pada!

Veeran tha jharokha humara,
chale gaye aap yun,
aahat bhi na hui!

-iewa

No comments:

Post a Comment